Wednesday 10 May 2017

Kaari Billi Ne Rasta Kaata

Sair-sapata nain matakka
Chhoro kar aayo tho pehle hi
Pher chhori dekhan maa chali
Toh Kaari billi ne rasta kaata

Saadi-vyaah ka mamla
Hai khel nahin guddon ka
Sach boley hai maa teri chhora
Khel hai yeh sikkon ka

Hawaa mahal ke bheetar
Selfie le aayo tho pehle hi
Pher luna lekar pundit aaya
Samay bura hai batlaya

Chokkhi vaat samajh le Bai Sa
Tass se mass nah hona
Jara si dheel aur laad-pyaar mein
Chhora haath se nikla

Phad phad karke maina se vaada
Kar aayo tho pehle hi
Pher phurrr karne ki subah hui
Toh bapu pinjra le aaya

Kaari billi ponga pundit
Duniya dusman ban jaye
Pran jaye par vachan na jaye
Tota mann mein ghurraye
Pyaar ke dusman haye haye
Tota mann mein ghurraye
Jaan ke dusman haye haye
Tota mann mein ghurraye…


Tuesday 11 April 2017

Jeev Nashwar Hai


Atra tatra vichitra vichalit
Mann hi mann ka rog hai
Samast brahmand mujhme samaya
Phir kaisi maya kaisa bhog hai

Khol doon baahein meri
Ya mutthi mein Astitva samet loon
Kala aane se pehle
Khul ke jee loon ya roz thoda mar loon

Kabhi bhramit kabhi chakit kabhi bhaybheet ho jata hoon
Srishti ki sarjna mein keval ek praan-bindu banke reh jata hoon
Sarjan mein hi visarjan, utpatti mein hi samapti
Koi paheli, prashn ya phir uttar hai?
Kehte hain, jeev toh nashwar hai.


Friday 3 February 2017

Jo Hai So Hai

Main kyun maru,
Main kyun thehroo,
Kisi aur ke liye,
Main kyun badloon,
Toh sun le saare,
Jo Hai So Hai.

Chhota kadd sanwla rang,
BMW doge toh le jayenge sang,
Yeh kehnewalo,
Bahot dekhe tum jaise nang,
Haath malte rehna,
Jab phailaon main apne pankh.

Main nah maru,
Main nah thehroo,
Kisi aur ke liye,
Main nah badloon,
Toh sun le saare,
Jo Hai So Hai.

Moti hai bhagayenge,
Crash diet karayenge,
Phir bhi jodi nahin jami,
Toh noton se tulvayenge,
Jodiyaan bananewalon,
Apni kali soch kali zubaan,
Kali kartutein match karo,
Phir bhi baat nah bane toh,
Muh pe kalikh pot ke nikal pado.

Main kyun maru,
Main kyun thehroo,
Kisi aur ke liye
Main kyun badloon,
Toh sun le saare,
Jo Hai So Hai.

Tere naam ka main kya karu?
Khud ko tarashu woh johri hoon main,
Teri soch aur shakti se pare,
Khud hi mein buland hoon main.

Main nah maru,
Main nah thehroo,
Kisi aur ke liye,
Main nah badloon,
Toh sun le saare,
Jo Hai So Hai.

Wednesday 11 January 2017

Tumhari chuppi...

Tumhari chuppi mujhe khalti hai aise,
Raat ki girah mein subah qaid ho jaise.
Charo aur nazar ghumayi kaan lagaye,
Kis bhi disha se tumhari aawaz na aaye.

Mashhoor doston mein tha,
Dilon ke raaz jaan leta tha,
Tumhari aankhon mein jhanka toh sehem gaya,
Uljhano ki gehri khayi mein,
Bereham chuppi bhatak rahi thi.

Ateet ke kaun se saaye ne jakda hai tumhe?
Kyun ghum ho?
Darta hoon main,
Kahin tumhari dhundhli saansen mera gala na ghont de,
Marta hoon iss qadar,
Phir chahe tumhari aankhen mujhko ek raaz hi kyun na bana de.


Monday 9 January 2017

Suno, Shiva!





Suno Shiva Aadi Anant,
Mann kaahe ko hai adheer ashaant?
Dekhoge mujhko bhole bhaav se,
Is aas mein bhatkoon ghaat ghaat.

Jogi bane phirte ho,
Khule kesh, vann wale bhes
Damroo bajate rehte ho
Shraap hi de do,
Jo kar doon tumhari shanti bhang,
Par do toh sahi,
Darshan dene se kyun muh mod rahe ho?

Suno Shiva, antim fariyaad
Mere haathon ho raha hai,
Ganga ghaat shankhnaad,
Yahin bas jaongi,
Tumse roothkar, ladkar, jhagadkar
Patthar ki moorat ban jaongi,
Phir kabhi na kahungi,

Suno, Shiva!

(Image from Google)

Thursday 5 January 2017

Mujhse Bura Na Koye!

Bangalore Delhi Mumbai mein, bura na mileya koye
Jo body khoji apni (Breasts, Vagina & Hips), mujhse bura na koye

Dhai akshar prem ke miley na miley
Chaar akshar RAPE ke gulli gulli miley

Iss darr se bada darr na koye,
Jo purse mein mere pepper spray
Aur pant mein teri danda hoye

Holi, Diwali ya New Year’s Eve hoye
Meri haalat pe Kabira bhi roye

Weaker sex ke liye tax kum hoye
Par consent of sex ke naam pe sirf dhokha hoye

Desh ke rakshakon ke liye ek political game hoye
Ghoom-phir ke mere western hone pe blame hoye

Power ko abuse karna tere liye mardonwali baat hoye
Teri niyat mere liye na-mardonwali baat hoye

Samajh na aaye yeh mamla kaise khatm hoye
Kya meri vagina mein AK47 ka installation hoye!?


Monday 2 January 2017

Neend Ke Chaurahe Par Kuch Khwab Baithe Hain

Neend ke chaurahe par kuch khwab baithe hain
Khudko pura karne ka daawa karte huye
Inke main parr laga doon
Kehti hai subah aate huye

Par dekho,

Waqt ki niyat bhi ajeeb
Khwabon se poochhe, jaldi kya hai?!
Do pal thehro, thoda behko
Zindagi chalti mere ishare par hai

Main kahoon,

Yeh jo naya savera hai
Isme junoon bhar do
Kal roshan hone ke liye
Khwabon ko aaj sulagane do

Gaur se dekho,

Neend ke chaurahe par
Khwab yoon hi nahin baithe hai