Friday 10 July 2015

Yeh Hai Ziddism - Mera Dharma, Mera Karma.

Sanki armano ka, dheeth iraadon ka
Aya hai bhuchal
Iske aade mat aana
Aur aaye toh nateeja bhugatke jaana
Kyun ke yeh hai ziddism.

Kabhi putle jalate ho, kabhi poster
Kabhi goli chalate ho, kabhi patthar fekte ho
Gundagardi ka nayab namuna ho
Ab dekhte hai humse kaise bachte ho!?
Hoshbhare josh ka, aazad soch ka
Aya hai toofan
Iske aade mat aana
Aur aaye toh nateeja bhugatke jaana
Kyun ke yeh hai ziddism.

Iss khokhli, dhongi religion-bazi se ubb chuke hain
Scams aur scandal se bhari rajniti se pak chuke hain
Udhar Church jalaya, idhar Modi ka mandir banaya
Thak nahin jaate aise gundo ki a$$ chat-te-chat-te!?
Safed sach ka, aag-babula zid ka
Macha hai kohram
Iske aade mat aana
Aur aaye toh nateeja bhugatke jaana
Kyun ke yeh hai ziddism.

Aapke ghar mein kaun rehta hai- Insan ya balatkari?
Sar se paon tak virus se bhare in criminals ko
Lawyer kaise mil jaate hai?
Wahan bechare kisan ko toh suicide karne se koi nahin bachata
Thand se jami hui nahin
Jhooth se ladi hui nahin
Har taraf oothi hai badlaav ki aandhi
Iske aade mat aana
Aur aaye toh nateeja bhugatke jana
Kyun ke yeh hai ziddism.

Ab hawaa ka rukh modne ki bari hai
Ek awaaz, ek vishwas aur ek junoon ki ladai jari hai
Ziddism se hamari yaari hai.

Copyright © Tapasya Kapur 2015