Thursday 9 August 2012

Zehen mein zeher bhara hain


Zehen mein zeher bhara hain mere
Mere ird gird bandh kar, tu lagana phere
Bekaar jayengi teri koshishein, Allah

Uski khushi uska ashiyana uski rangeeniyat uske jalwa-e-husn se jal kar raakh ho gaya hoon
Aur tu kehta hai, bhoola de

Uski yaadein uska daaman uski khwahishein uske darakht-e-jannat se tootkar bikhar gaya hoon
Aur tu kehta hai, jaane de

Vasta-e-pyaar ki aukaat nah rahi
Mazhab-e-imaan ki pehchan nah rahi

Uski chaal uski hansi uski shohrat uske inaam-e-beimaani se badnaam ho gaya hoon, barbaad ho gaya hoon aur tu kehta hai, baksh de  

Kaash tu insaan hota, Allah
Kaash tu mohabbat karta… kaash… tu bhi barbaad hota, Allah

Zehen mein zeher bhara hain mere
Main bhi zulm karunga
Zakhm doonga
Tabaah karunga
Uski shaan uski jaan uski haj aur hazrat mein zeher bhar doonga

Bekaar jayengi teri koshishein, Allah

Zehen mein zeher bhara hain mere...