Thursday 9 August 2012

Zehen mein zeher bhara hain


Zehen mein zeher bhara hain mere
Mere ird gird bandh kar, tu lagana phere
Bekaar jayengi teri koshishein, Allah

Uski khushi uska ashiyana uski rangeeniyat uske jalwa-e-husn se jal kar raakh ho gaya hoon
Aur tu kehta hai, bhoola de

Uski yaadein uska daaman uski khwahishein uske darakht-e-jannat se tootkar bikhar gaya hoon
Aur tu kehta hai, jaane de

Vasta-e-pyaar ki aukaat nah rahi
Mazhab-e-imaan ki pehchan nah rahi

Uski chaal uski hansi uski shohrat uske inaam-e-beimaani se badnaam ho gaya hoon, barbaad ho gaya hoon aur tu kehta hai, baksh de  

Kaash tu insaan hota, Allah
Kaash tu mohabbat karta… kaash… tu bhi barbaad hota, Allah

Zehen mein zeher bhara hain mere
Main bhi zulm karunga
Zakhm doonga
Tabaah karunga
Uski shaan uski jaan uski haj aur hazrat mein zeher bhar doonga

Bekaar jayengi teri koshishein, Allah

Zehen mein zeher bhara hain mere...

Monday 16 April 2012


Ab mere paas bahana banane ke liye
koi bahana nahin hai…

Bachpan mein school ka homework nahin karti thi toh teacher se kehti ke, papa baahar gaye hain aur mummy bimar hain… Ghar par mummy ko kehti thi ke, teacher ne aaj homework nahin diya hai. Aise na jaane kitne din masti mein guzar jaate the! Mera mann hi nahin karta tha homework karne ka kyun ke, chahe kitne hi sundar handwriting the mere teacher mujhe kabhi ‘Good’ nahin deti thi :(

College mein shuru-shuru mein sincere thi, lekin baad mein youth festivals, sports competitions, social work, pepsi-samosa-burger and majja ni life! S. P. University circle pe main apni kinetic honda pe chakkar lagati rehti thi…mawwaali ki tarha! Main kabhi fail nahin huyi, magar mujhe kabhi ‘Good’ bhi nahin mila. Tab ghar par bahana banati thi ke, teacher ne paper galat check kiya tha.

Bahano ki kamee nahin thi- kabhi mummy ke uncle ko maar diya, kabhi 45 saal ki chachi
ko baby born kara diya aur kabhi already married mausi ki phir se shaadi karvadi. Maths ke teacher ke liye alag aur geography ke teacher ke liye alag… different teachers, different bahane! Sirf family ya relatives mere nishane par nahin the, main apne-aap ko bhi bimar kar deti thi. Loose motion aur headache mere favourite bahane the. In sab ke piche sirf ek motive tha- ek haath ‘Good’ do, ek haath homework lo!

Kabhi kabhi mummy pyaar mein pighal kar mera saath deti thi… mummy teacher ko phone karke request thi ke, hum sab one week ke liye native place ja rahe hain Tapasya ko chhutti de do. Phir toh bas majja ni life!

Bahano ka khazana tha mere paas. Awww… Mere most precious bahane!

Prospective groom(s) se kaha sorry, I love someone else.
Dusre ko kaha, mujhe shaadi nahin karni.
Teesre ko kaha… bhaiya, idhar No Entry ka board lagaa hai.
Aur chauthe, panchve, chhatthe ko kaha saale maa ki aankh…bola na Not Interested!

Mom-dad ko bura laga tha…shayad. Mummy ko laga tha shayad main lesbian hoon ;)

But it’s ok. Tab bhi toh ek bahana tha Mumbai aakar job karne ka.
Khud apni pehchan banane ka. Socha kuch aur toh aata hai nahin, chalo writer hi ban jaati hoon. Job pe naye bahane banane ka plan tha.

Magar corporate world, uski sar pe patthar ki tarha lagti reality, work stress, har din
hota traffic jam aur aaye din ho rahe rickshaw-taxi walon ke strikes, jai Maharashtra - jai Gujarat - jai UP, gunde-badmashon ki dadagiri, chootiyon ki nangi harkatein… Main sach mein bimar hone lagi. Lost rehne lagi. Ab headache ka bahana nahin banati kyun ke ab mujhe migraine hai. Loose motion ka bahana bhi nahin karna padta, ab mera blood pressure low rehta hai.
Ab main 3-4 mahine mein ek baar Gujarat jaati hoon family visit pe… officially one month pehle hi leave ke liye apply kar deti hoon. After all, rules are rules!

Yahan ya toh GOOD milta hai ya G#@*D marti hai! Mere bahane mujhe kabhi kabhi sapno mein milne aate hain. Friends se kabhi kabhi baat ho jaati hain… 'purani jeans' ki tarha! Tab pepsi-samosa-burger ko bahot miss karti hoon.

Ab itne log marte hain, itne divorce hote hain, itne bacchon ka rape hota hai ke… Ab main kisiko nahin maarti, na kisiki shaadi aur na hi kisiko baby born karati hoon.

Ab mere paas bahana banane ke liye koi bahana nahin hai…

Satyamev Jayate (Aamir Khan's new show)



Aamir's love song for the country- composed by Ram Sampath, written by Prasoon Joshi and sung by Keerthi Sagathia. 

Tera rang aisa chadh gaya koi aur rang na chadh sake
Tera naam seene pe likha har koi aake padh sake
Hai junoon hai, hai junoon hai, tere ishq ka yeh junoon hai
Rag rag mein ishq tera daudta yeh banwra sa khoon hai
Tuney hi sikhaya sacchaiyon ka matlab
Tere paas aake jana maine zindagi ka maqsad
Satyamev satyamev satyamev jayate
Saccha hai pyar mera
Satyamev jayate
Satyamev satyamev satyamev jayate


Tere noor ke dastoor mein, na ho salvatein na shikan rahe
Meri koshishein toh hai bas yahi, 
rahe khushbooein gulshan rahe
Teri zulf suljhane chala, tere aur paas aane chala
Jahan koi sur na ho besura, woh geet main gaane chala
Hai junoon hai, hai junoon hai, tere ishq ka yeh junoon hai
Rag rag mein ishq tera daudta yeh banwra sa khoon hai
Tuney hi sikhaya sacchaiyon ka matlab
Tere paas aake jana maine zindagi ka maqsad
Satyamev satyamev satyamev jayate
Saccha hai pyar mera
Satyamev jayate
Satyamev satyamev satyamev jayate


Tera rang aisa chadh gaya, tha nasha jo aur bigad gaya
Teri baarishon ka karam hai yeh, main nikhar gaya 
main sanwar gaya
Jaisa bhi hoon apna mujhe, mujhe yeh nahin hai bolna
Qabil tere main ban saku, mujhe dwaar aisa kholna
Saanso ki iss raftaar ko, dhadkan ke iss tyohaar ko
Har jeet ko har haar ko, khud apne iss sansar ko
Badlunga main tere liye
Hai junoon hai, hai junoon hai, tere ishq ka yeh junoon hai
Rag rag mein ishq tera daudta yeh banwra sa khoon hai
Tuney hi sikhaya sacchaiyon ka matlab
Tere paas aake jana maine zindagi ka maqsad
Satyamev satyamev satyamev jayate
Saccha hai pyar mera
Satyamev jayate
Satyamev satyamev satyamev jayate


Mujhe khudko bhi hai tatolna
Kahin hai kami toh hai bolna
Kahin daag hai toh chhupayein kyun
Hum sach se nazrein hatayein kyun
Khudko badalna hai agar badlunga main tere liye
Sholon pe chalna hai agar chal dunga main tere liye
Mere khoon ki har boond mein sankalp ho tere pyar ka
Kaato mujhe toh tu bahe
Ho surkh rang har dhaar ka
Hai junoon hai, hai junoon hai, tere ishq ka yeh junoon hai
Rag rag mein ishq tera daudta yeh banwra sa khoon hai
Satyamev satyamev satyamev jayate
Saccha hai pyar mera
Satyamev jayate
Satyamev satyamev satyamev jayate
(Repeat)

Sunday 15 April 2012

Rishton ki rajneeti


Kuch gunaah, kuch galatiyaan baar-baar
Badnami ki dehliz pe hokar khadi, main tapasya karti hun baar-baar
Rishton mein ulajhkar reh jati hun, sochti hun kyun na chhodkar durr chali jaun ghar-baar

Akeli toh nahin main, mere sath badnaam kuch naami bhi hain!

Duniya ki kori vastavikta dekhi, Premchand ne godan kar daala
Rishton ke chakrvyuh mein fasa toh Sharat Chandra ne charitraheen racch daala
Kehkar toh bahut kuch voh gaya magar mausam ke sath badalti insaan ki insaniyat
dekhkar mast Kabira roya

Rishtein ab chaar deewar mein nahin, khuley bazaar mein paaye jaate hain
ilm tha iska Harivanshrai ko jo zindagi ki pathshala mein haar rahe vidyarthyon
ko madhushala mein dakhila de dala.

Ab toh yahan shatranj pe bichaye jaate hain rishtein
Khel-khel mein daav-pech ke mohtaaj ho gaye hain rishtein

Aise mein, main kya karun? Rishton ki rajneeti mein, main kiska saath dun?

Sochti hun, kyun na Sharat Chandra mein samaun aur ban jaun charitraheen?
Bahakar ashrudhara kabira ke charan dhoun?
Kyun na madiraa ka ansh bankar main bhi madhushala jaun?

Rishton ki main palat du baazi aur badnami ki dehliz pe hokar khadi, tapasya karu phir ek baar!

Kitaab ke kuch panne piley pad gaye hain

Alfaaz jo salaamat the inmein…kal tak
Aaj voh saare khatre mein pad gaye hain

Roz jaise mehfil jamti thi
Mere shabd madiraa ban, kitaab ke inn panno par jaam chalkate the
Nasha mera badhta jaata tha, shabdon ka caravan chalta jaata tha

Magar waqt ki rajneeti dekho
Kisse jo saare khoobsurat the inmein…kal tak
Aaj voh saare berang ho gaye hain
Kitaab ke kuch panne piley pad gaye hain

Raja-rani ki kahaniya hain inmein
Pyaar ki baarish mein bheege anginat pal
Mann-mauji armaano ki karvatein hain inmein
Aur ek tasveer, ek naam, ek pehchaan hain inmein

Sochti hun, kya bekaar thi woh, dukan-daar ne bechi jo neeli syaahi mujhko?
Muskura karte the jo mausam inmein…kal tak
Aaj woh saare udaas ho gaye hain
Meri kitaab ke kuch panne piley pad gaye hain

Zindagi ke khel ka aakhri daav hai shayad
Mareez ki aakhri saans hai yaa hai shayad gunehgaar ki akhri khwahish
Shabdon ka caravan ruk sa gaya hai, manzil tak pahuche bhi nahin aur raasta khatm
ho gaya hai

Socha tha kuch aisa likhkar alvidaa kahun jo sabke chehrein par muskaan layein
Nahin likh paayi…
Afsos…khud apni khwahish puri nah kar payi
Maine jaane kitne sapne buney the inmein…kal tak
Aaj voh saare adhure reh gaye hain
Ab aur likhkar bhi kya karu? Ab toh kitaab ke panne piley pad gaye hain!

Hum sapne bechte hain!

Hum sapne bechte hain
Har shaher ki har gali ke har mod par ek chhoti si dukaan hai…
Ahsaason ka air tight packet hai
Usmein sapne simatke, sambhal ke soye huye hain

Naukri, pyaar, shaadi, bachchein, foreign tour, luxurious suite, home theatre, Maruti 800 se leke Porsche tak, tricycle se leke Harley Davidson tak…

Kabhi daravne, kabhi mamta se sehlanewale
Kabhi yun hi bekaaran toh kabhi special message denewale

Khaas aapki zaruraton ko dhyaan mein rakhkar banayein hain
Bahar se packet dekh sakte ho, choo sakte ho
Haan, ek baar packet kholne ke baad hum sapne vapas
nahin letey*

Discount ya koi special scheme toh nahin hai
Magar wholesale ka daam hai…har size mein uplabdh hain

Shartein laagu*