Yeh sukoon bhi hai, junoon bhi hai
Ek aadat bhi hai, ibadat bhi hai
Mere andar bhi hai
Mere bahar bhi hai
Mita do chahe sar zameen
Saare ghar, vatan aur gul gulashan
Meri Lahoreiyat kaise mitaoge?!
Isme oogta hoon, isime doobta hoon
Nanhe-munne chehro par, main roz khushi se khilta hoon
Tere Jihad ki laptein mujhe nah daraye
Lahore hai mere daaye baaye
Chhalka do Chenab khoon se
Ya raakh kardo jahaan
Chheenn lo masoomiyat
Chahe mita hi do insaniyat
Meri Lahoreiyat kaise mitaoge?!
Nafrat ke shor mein bhi gunjati hai mohabbat ki vaadi
Agar yeh khel hai toh ab mere Lahore ki baari
Naazuk hai halaat magar iraadein mazboot
Lakhon duaon ke beech mera Lahore hai mehfooz
Chahe jala do makaan, sab yaadein aur tasveerien
Chahe mita do kone kone mein basi saans ki lehrein
Meri Lahoreiyat kaise mitaoge?!
...Meri Lahoreiyat mita nahin paoge.
No comments:
Post a Comment