Friday, 17 June 2016

Main Aur Mere #Ghaspus Aksar Yeh Baatein Karte Hain



Main aur mere #ghaspus aksar yeh baatein karte hain

…ke log tangdi, beef chilly aur seekh kebab kaise kha lete hain

Main aur mere #ghaspus hairan hain yeh sochkar

…ke log breast, bheja aur leg piece kaise pehchan lete hain


Dost bulate hain mujhe dawat khane

Mehfil jamti hai, bismillah hota hai

Sabke chehro per ‘oongliyan-chatnewali’ khushi hoti hain

Lekin meri plate mein baat Paneer tikka pe aakar ruk jaati hai (I hate Paneer)

Iftar wali selfie mein, meri hi photo udaas aati hai

Main aur mere #ghaspus pet pe haath ghumate huye sochte hain

…ke chalo phirni jalebi kha kar hi jee bhar lete hain


Kehne ko bahut kuch hai, magar kisse kahen hum

Kab tak yoonhi gobi manchurian aur dal khichdi khaye hum

Kyoon dil mein sulagte rahe, logon ko bata de

Ke haan… Harpal Singh Sokhi jab chicken biryani banate hain

Toh muh mein paani (in fact flood) aata hai, paani aata hai, paani aata hai


Main aur mere #ghaspus aksar yeh baatein karte hain (Repeat mode pe)


No comments:

Post a Comment