Thursday, 5 February 2015

Mere Subira-bhare pal


Tere aane se aaye hain, nanhe munne anginat gudgudate pal
Inhe aise mehfuz rakh loon, jaise rakha tha tumhe apne andar

Pani ko mutthi mein bandh karne ki koshish
Din mein bhi akash mein chand ko dekhne ki khwahish
Chhote chhote pairon se tez tez chalte hain
Dhabb karke girte hain aur hanskar phir chalne lagte hain
Kitna kuch karna hai, kitna kuch sikhna hai
Phir bhi aaj almast hain, yeh nange-punge pal
Inhe aise mehfuz rakh loon, jaise rakha tha tumhe apne andar

Mishri se bhi meetha, iska har shabd aadha adhura
Lalla lalla lori ka bas nahin chalta, yeh hai masti ka pitara
Khushi ya gusse mein, darr ya bhookh mein, boriyat ya shararat mein
Jagte huye chahe neend mein…  har baat mein angutha peete hain
Aur mil jaye jo pasand ki ‘cheese’ toh behad lablabate hain yeh pal
Inhe aise mehfuz rakh loon, jaise rakha tha tumhe apne andar

Itni choti si naak pe tevar itna bada
Phir bhi masoom hai, inhe koi fark nahin padta
Jis disha mein chaho, dhalne ko taiyar rehte hain
Ghar ke har kone mein, khil rahe hain befikr yeh pal
Inhe aise mehfuz rakh loon jaise rakha tha tumhe apne andar

Na maanu phir bhi kaala tika lagaun
Har burai har daravne sapne ko ek-ek kar todke kahin door phek doon
Aneko naye armaan aur umeedon ke beej inmein bo doon
Bahot pyaar aur samajhdari se bade ho rahe hain yeh pal
Inhe aise mehfuz rakh loon, jaise rakha tha tumhe apne andar

Tere aane se aaye hain, zindagi-bhare pal
Mere aur tumhare papa ke yeh Subira-bhare pal.


No comments:

Post a Comment