Sunday, 15 April 2012

Rishton ki rajneeti


Kuch gunaah, kuch galatiyaan baar-baar
Badnami ki dehliz pe hokar khadi, main tapasya karti hun baar-baar
Rishton mein ulajhkar reh jati hun, sochti hun kyun na chhodkar durr chali jaun ghar-baar

Akeli toh nahin main, mere sath badnaam kuch naami bhi hain!

Duniya ki kori vastavikta dekhi, Premchand ne godan kar daala
Rishton ke chakrvyuh mein fasa toh Sharat Chandra ne charitraheen racch daala
Kehkar toh bahut kuch voh gaya magar mausam ke sath badalti insaan ki insaniyat
dekhkar mast Kabira roya

Rishtein ab chaar deewar mein nahin, khuley bazaar mein paaye jaate hain
ilm tha iska Harivanshrai ko jo zindagi ki pathshala mein haar rahe vidyarthyon
ko madhushala mein dakhila de dala.

Ab toh yahan shatranj pe bichaye jaate hain rishtein
Khel-khel mein daav-pech ke mohtaaj ho gaye hain rishtein

Aise mein, main kya karun? Rishton ki rajneeti mein, main kiska saath dun?

Sochti hun, kyun na Sharat Chandra mein samaun aur ban jaun charitraheen?
Bahakar ashrudhara kabira ke charan dhoun?
Kyun na madiraa ka ansh bankar main bhi madhushala jaun?

Rishton ki main palat du baazi aur badnami ki dehliz pe hokar khadi, tapasya karu phir ek baar!

2 comments: