Kitaab ke kuch panne piley pad gaye hain
Alfaaz jo salaamat the inmein…kal tak
Aaj voh saare khatre mein pad gaye hain
Roz jaise mehfil jamti thi
Mere shabd madiraa ban, kitaab ke inn panno par jaam chalkate the
Nasha mera badhta jaata tha, shabdon ka caravan chalta jaata tha
Magar waqt ki rajneeti dekho
Kisse jo saare khoobsurat the inmein…kal tak
Aaj voh saare berang ho gaye hain
Kitaab ke kuch panne piley pad gaye hain
Raja-rani ki kahaniya hain inmein
Pyaar ki baarish mein bheege anginat pal
Mann-mauji armaano ki karvatein hain inmein
Aur ek tasveer, ek naam, ek pehchaan hain inmein
Sochti hun, kya bekaar thi woh, dukan-daar ne bechi jo neeli syaahi mujhko?
Muskura karte the jo mausam inmein…kal tak
Aaj woh saare udaas ho gaye hain
Meri kitaab ke kuch panne piley pad gaye hain
Zindagi ke khel ka aakhri daav hai shayad
Mareez ki aakhri saans hai yaa hai shayad gunehgaar ki akhri khwahish
Shabdon ka caravan ruk sa gaya hai, manzil tak pahuche bhi nahin aur raasta khatm
ho gaya hai
Socha tha kuch aisa likhkar alvidaa kahun jo sabke chehrein par muskaan layein
Nahin likh paayi…
Afsos…khud apni khwahish puri nah kar payi
Maine jaane kitne sapne buney the inmein…kal tak
Aaj voh saare adhure reh gaye hain
Ab aur likhkar bhi kya karu? Ab toh kitaab ke panne piley pad gaye hain!
No comments:
Post a Comment