Bad-duaon ka ghanta
Aankhon mein khoon, haathon mein apna haq aur muh mein kaali
zubaan liye, public mein,
main baja rahi hoon bad-duaon ka ghanta.
Ghanta # 1: Chhote chhote bachchon ka sex trade
karnewale, unki masoomiyat ko nanga karnewale, unki cheekhon ka dum ghotnewale
besharm-benchod-bhadwe… teri izzat teri body tere har ek ang mein hazaron
keelein bhonki jaaye, teri dard ke maare nikli har ek cheekh par jashn manaya
jaaye.
Ghanta # 2: Hari Om…Hari Om…Bapu khudki har mano-kaam-na
puri kare! Ramkatha sunanewale- Shivlingam pe doodh chadhanewale-kesri lungi ke
andar kaand karnewale-religious circus ke bapu… tere pujya lingam pe
petrol chadhkar uska havan kiya jaaye. Aur phir bapu ke bhakto ko havan ka
prashad dekar realize karvaya jaaye…ke bhai aur behen bahot katva li apni. Ab
toh sudhro.
Ghanta # 3: Mere desh ki, foreign ki, ladkiyan dekhkar
unhe akela paakar rape karnewale, unhein coma mein pahuchanewale society ke 10
-12 bhadwe-politician ke bete-sissy policemen-tumhe kum se kum sazaa dekar
chhod denewale sarkari suvar aur panchayati randibaaz… tum sabko kisi stadium
ke beech ulta latka kar, tumhari aankho mein 2-2 boond acid daala jaaye.
Tumhare out-of-control part ke ek ek tissue ko surgical equipments se kaata
jaaye.
Ghanta # 4: Behla phuslake, chocolate, ice cream aur
lollipop khilane ke bahane bachchon ka sexual abuse karnewale chootiye
chacha-gandu padosi-good morning teacher-saale hijre-tantrik baba-ghar ke khaas
naukar… tere andar garm loha ghusaya jaaye. Jis tarha tuney abuse kiya usse
badtar tarike se tujhe abuse kiya jaaye. Na tu jeene ke qabil rahe aur nah
tujhe maut dekar baksha jaaye.
Ghanta # 5: Apne employees ko salary na denewale, unki
roz-baroz ki zindagi tabah karne wale, unko aakhri saans tak tadpane wale beimaan
tharki employer… tere ghar mein aaj, kal aur aanewali generations tak sirf ghor
andher ho.
Ghanta # 6: Gareebon ke ghar, kisaano ke khet, unki
zameen, unki mehnat ki fasl par apna bal chalanewale lootere zameendar-harami
mantri-panchayati kutte, tere upar koi muqaddama na kiya jaaye; tujhe
gaon-sheher ke beechobeech hockey sticks se peeta jaaye. Tere upar hal chalaya
jaaye. Tujhe adhmara sa sukhe kuein mein fenk diya jaaye.
Ghanta # 7: Sundarta ke dushman-abhimani lund- vikrut jhalle-dharm-o-mazhab
ke chaatoo, chehron par acid fenknewale, tujhe tere ghar aakar, tere chochle
balls ko petrol se aadha jalakar chhod diya jaaye. Teri tasveerein internet pe
circulate ki jaaye. Tere dard pe khilkhilakar hansa jaaye.
Ghanta # 8: Road accidents karke khoon ki bauccharein
udaakar bhaag jaanewale drunk-doped civilian driver, Tu toh khud zeher kha-pi
raha hai. Chal, toh tere liver ko kaat kar usme powder bharte hain, phir usse
wapas seal kar dete hain. Teri body ko kahin kahin se kaat kar woh hissa khula
chhod dete hain.
Agar iss explicit content se kisi ko bura lage, koi hurt
ho toh main haath jodkar maafi…
nahin mangungi. Kyun ke reality yahi hai ke humare kiye gaye
candle-march, strikes, streetplays aur parliament ke bahar protests ka zara sa
bhi asar nahin hua hai. Samajh nahin aa raha problem kahan par hai? Law system
mein, police ki so-called authority mein, politicians ke power mein, sarkar ki
satta mein ya hamari soch mein… samajh nahin aa raha. Ghum phirkar sab wahin ka
wahin aa jaata hai aur jo chal raha hai, chalta hi jaata hai. Safety apps like
Vith U, Scream Alarm, I am safe, SOS and many more to come…do we really feel
safe by having these apps in our mobile phones? It’s a very good and helpful
initiative; there is no doubt about it but jab tak koi aapka apna aapke paas
pahuchta hai tab tak shayad bahot der ho jaati hai. Women ke liye lightweight
revolver launch ki jaa rahi hai jiske liye obviously license chahiye. Aur usko
self-defense ke liye agar fire kiya, tab bhi sab chhod chhadkar court ke
chakkar kaato aur prove karo ke hamare saath kuch bahot hi khatarnak honewala
tha and they will say… par hua toh nahin na! Probably we need to find these
inhuman creatures and kill them publicly just like they killed Qaddafi in Libya.
All I want to say to my family, friends, parents,
children and dear citizens let’s not take our safety for granted. Let’s be alert.