Sanki armano ka, dheeth
iraadon ka
Aya hai bhuchal
Iske aade mat aana
Aur aaye toh nateeja
bhugatke jaana
Kyun ke yeh hai ziddism.
Kabhi putle jalate ho, kabhi
poster
Kabhi goli chalate ho, kabhi
patthar fekte ho
Gundagardi ka nayab namuna
ho
Ab dekhte hai humse
kaise bachte ho!?
Hoshbhare josh ka, aazad
soch ka
Aya hai toofan
Iske aade mat aana
Aur aaye toh nateeja
bhugatke jaana
Kyun ke yeh hai ziddism.
Iss khokhli, dhongi
religion-bazi se ubb chuke hain
Scams aur scandal se bhari
rajniti se pak chuke hain
Udhar Church jalaya,
idhar Modi ka mandir banaya
Thak nahin jaate aise
gundo ki a$$ chat-te-chat-te!?
Safed sach ka, aag-babula
zid ka
Macha hai kohram
Iske aade mat aana
Aur aaye toh nateeja
bhugatke jaana
Kyun ke yeh hai ziddism.
Aapke ghar mein kaun
rehta hai- Insan ya balatkari?
Sar se paon tak virus
se bhare in criminals ko
Lawyer kaise mil jaate
hai?
Wahan bechare kisan ko
toh suicide karne se koi nahin bachata
Thand se jami hui nahin
Jhooth se ladi hui
nahin
Har taraf oothi hai badlaav
ki aandhi
Iske aade mat aana
Aur aaye toh nateeja
bhugatke jana
Kyun ke yeh hai ziddism.
Ab
hawaa ka rukh modne ki bari hai
Ek
awaaz, ek vishwas aur ek junoon ki ladai jari hai
Ziddism
se hamari yaari hai.
Copyright
© Tapasya Kapur 2015