Zehen mein zeher bhara hain mere
Mere ird gird bandh kar, tu lagana phere
Bekaar jayengi teri koshishein, Allah
Uski khushi uska ashiyana uski rangeeniyat uske jalwa-e-husn
se jal kar raakh ho gaya hoon
Aur tu kehta hai, bhoola de
Uski yaadein uska daaman uski khwahishein uske darakht-e-jannat
se tootkar bikhar gaya hoon
Aur tu kehta hai, jaane de
Vasta-e-pyaar ki aukaat nah rahi
Mazhab-e-imaan ki pehchan nah rahi
Uski chaal uski hansi uski shohrat uske inaam-e-beimaani
se badnaam ho gaya hoon, barbaad ho gaya hoon aur tu kehta hai, baksh de
Kaash tu insaan hota, Allah
Kaash tu mohabbat karta… kaash… tu bhi barbaad hota, Allah
Zehen mein zeher bhara hain mere
Main bhi zulm karunga
Zakhm doonga
Tabaah karunga
Uski shaan uski jaan uski haj aur hazrat mein zeher bhar
doonga
Bekaar jayengi teri koshishein, Allah
Zehen mein zeher bhara hain mere...